Eid Mubarak new Shayari in Hindi Urdu Love

7 comments
Eid Mubarak new Shayari in Hindi Urdu Love Eid aayi hai sulagti hui yaaden le ker, Aaj phir apni udaasi pe taras aaya hai.. Sumander ko kinaa mubarak Chand ko sitaa mubarak Rat ko din Mubarak Gulab ko Kushbo Mubarak Dil ko Dildar Mubarak AAp ko Eid Mubarak Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi, Aana chahoon jo tere pass to aaon kese, Meri har saans amanat hai teri yaadon ki, Toot ke is se zeyada tujhe chahoon kese.. Chalo Acha Hua Eid Ab ke Bhi tanha Guzri, Galay Mil ke Bohat Rote Jo Tum aa Jaate…

Aey Boss….. Kaisa hai ray tu….? . Wo kya hai na….Eid k din sala network khalas ho jata hai to apun tairay ko advance main., Eid mubarak thokta hai.. Ghairon mein hain jo shaad unhe Eid Mubarak, Jin ko nahin hum yaad unhe Eid Mubarak, Masoom se armaanon ki masoom si duniya, Jo kar gaye barbaad unhe Eid Mubarak.. ______(`*•.¸ (`*•.¸ ¸.•*´) ¸.•* )_______ _..::¨`•.¸* Eid Mubarak! *¸.•`¨::.. ______.(¸.•*(¸.•*´ `*•.¸)*•.¸).________ Kuch Musarrat Mazeed ho jaye Is bahane se Eid ho jaye Eid milne jo Aap aajayein Meri b Eid, Eid ho jaye..!! Special Eid Shayari Iss eid pe lot k aa jana, Kuch yadein taza krni hain, Kuch lamhay morr k lanay hain, Kuch taray torr k lanay hain, Wo masti or wo madhoshi, Wo bachpan morr k lana hai, Is eid pe lot k aa jana, Ab dil ko dil ki dharkan se, Phir eid mubarak kehna hai, Ab sath boht din rehna hai, Is eid pe lot k aa jana…! Pholon ko jis trha bhanwre milte hai Aao is eid pe hum b kahin milte hai

7 comments:

Powered by Blogger.